Main Sochta Hun Agar Is Taraf Wo Aa Jata

main sochta hun agar is taraf wo aa jata

charagh-e-umr ki lau ek zara baDha jata

ajib bhul-bhulayyan hai rasta dil ka

yahan to KHizr bhi hota to Dagmaga jata

so apne hath se din bhi gaya hai duniya bhi

ki ek sire ko pakaDte to dusra jata

magar nahin hai wo masruf-e-naz itna bhi

kabhi kabhi to koi rabta kiya jata

kabhi wo pas bulata to ye dil-e-durwesh

bas ek ishaara-e-abru pe jhumta jata

palaT raha hun usi yar-e-mehrban ki taraf

ab is qadar bhi nahin bewafa hua jata

palaT gaya inhin qadmon se 'aftab-husain'

kahan talak wahi haalat dekhta jata

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Sochta Hun Agar Is Taraf Wo Aa Jata In English By Famous Poet Aftab Hussain. Main Sochta Hun Agar Is Taraf Wo Aa Jata is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Main Sochta Hun Agar Is Taraf Wo Aa Jata for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Main Sochta Hun Agar Is Taraf Wo Aa Jata in PDF.