Maqam-e-shauq Se Aage Bhi Ek Rasta Nikalta Hai

maqam-e-shauq se aage bhi ek rasta nikalta hai

kahen kya silsila dil ka kahan par ja nikalta hai

mizha tak aata jata hai badan ka sab lahu khinch kar

kabhi kya is tarah bhi yaad ka kanTa nikalta hai

dukan-e-dil baDhate hain hisab-e-besh-o-kam kar lo

hamare nam par jis jis ka bhi jitna nikalta hai

abhi hai husn mein husn-e-nazar ki kar-farmai

abhi se kya bataen hum ki wo kaisa nikalta hai

miyan-e-shahr hain ya aainon ke ru-ba-ru hain hum

jise bhi dekhte hain kuchh hamin jaisa nikalta hai

ye dil kyun Dub jata hai usi se puchh lunga main

sitara sham-e-hijran ka idhar bhi aa nikalta hai

dil-e-muztar wafa ke bab mein ye jald-bazi kya

zara ruk jaen aur dekhen natija kya nikalta hai

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maqam-e-shauq Se Aage Bhi Ek Rasta Nikalta Hai In English By Famous Poet Aftab Hussain. Maqam-e-shauq Se Aage Bhi Ek Rasta Nikalta Hai is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Maqam-e-shauq Se Aage Bhi Ek Rasta Nikalta Hai for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Maqam-e-shauq Se Aage Bhi Ek Rasta Nikalta Hai in PDF.