Dikhai Jaegi Shahr-e-shab Mein Sahar Ki Tamsil Chal Ke Dekhen

dikhai jaegi shahr-e-shab mein sahar ki tamsil chal ke dekhen

sar-e-salib istada hoga KHuda-e-injil chal ke dekhen

gulon ne band-e-qaba hai khola, hawa se bu-e-junun bhi aae

karenge is mausam-e-wafa mein hum apni takmil chal ke dekhen

ghanim-e-shab ke KHilaf ab ke ziyan hui ghaib ki gawahi

paDa hua KHak par shikasta par-e-ababil chal ke dekhen

chune hain wo reza reza manzar, lahu lahu ho gai hain aankhen

chalo na! us dukh ke raste par safar ki tafsil chal ke dekhen

faza mein uDta hua kahin se ajab nahin aks-e-barg aae

KHizan ke be-rang aasman se aTi hui jhil chal ke dekhen

luDhak gaya shab ka koh-paima zamin ki hamwariyon ki jaanib

kahin hawa gul na kar chuki ho ana ki qindil chal ke dekhen

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dikhai Jaegi Shahr-e-shab Mein Sahar Ki Tamsil Chal Ke Dekhen In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Dikhai Jaegi Shahr-e-shab Mein Sahar Ki Tamsil Chal Ke Dekhen is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Dikhai Jaegi Shahr-e-shab Mein Sahar Ki Tamsil Chal Ke Dekhen for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Dikhai Jaegi Shahr-e-shab Mein Sahar Ki Tamsil Chal Ke Dekhen in PDF.