Ek Chadar-e-bosida Main Dosh Pe Rakhta Hun

ek chadar-e-bosida main dosh pe rakhta hun

aur daulat-e-duniya ko pa-posh pe rakhta hun

aankhon ko Tikata hun hangama-e-duniya par

aur kan suKHan-ha-e-KHamosh pe rakhta hun

kaifiyyat-e-be-KHabri kya chiz hai kya jaanun

buniyaad hi hone ki jab hosh pe rakhta hun

mein kaun hun azalon ki hairaniyan kya bolen

ek qarz hamesha ka main gosh pe rakhta hun

jo qarz ki mai pi kar tasKHir-e-suKHan kar le

iman usi dilli ke mai-e-nosh pe rakhta hun

(662) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ek Chadar-e-bosida Main Dosh Pe Rakhta Hun In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Ek Chadar-e-bosida Main Dosh Pe Rakhta Hun is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Ek Chadar-e-bosida Main Dosh Pe Rakhta Hun for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Ek Chadar-e-bosida Main Dosh Pe Rakhta Hun in PDF.