Ek Fana Ke GhaT Utra Ek Pagal Ho Gaya

ek fana ke ghaT utra ek pagal ho gaya

yani mansuba zamane ka mukammal ho gaya

jism ke barfab mein aankhen chamakti hain abhi

kaun kahta hai ki us ka hausla shal ho gaya

zehn par be-samtiyon ki barishen itni huin

ye ilaqa to ghane raston ka jangal ho gaya

is kalid-e-ism-e-na-malum se kaise khule

dil ka darwaza ki andar se muqaffal ho gaya

shoala-zar-e-gul se guzre to sar-e-aghaz hi

ek sharar aankhon se utra KHun mein hal ho gaya

shahr-e-ainda ka dariya hai giraft-e-reg mein

bas ki jo hona hai us ka faisla kal ho gaya

mausam-e-taKHir-e-gul aata hai kis ke nam par

kaun hai jis ka lahu is KHak mein hal ho gaya

is qadar KHwabon ko masla pa-e-ahan-posh ne

shauq ka aain bil-aKHir moattal ho gaya

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Fana Ke GhaT Utra Ek Pagal Ho Gaya In English By Famous Poet Aftab Iqbal Shamim. Ek Fana Ke GhaT Utra Ek Pagal Ho Gaya is written by Aftab Iqbal Shamim. Read famous Poem Ek Fana Ke GhaT Utra Ek Pagal Ho Gaya for youth and Student by Aftab Iqbal Shamim. Free Download Ek Fana Ke GhaT Utra Ek Pagal Ho Gaya in PDF.