Sulagti Ret Pe Tahrir Jo Kahani Hai

sulagti ret pe tahrir jo kahani hai

mere junun ki ek anmol wo nishani hai

main apne aap ko tanha samajh raha tha magar

suna hai tum ne bhi sahra ki KHak chhani hai

ghamon ki dhup mein rahna hai saeban ki tarah

KHayal-e-gesu-e-jaanan ki mehrbani hai

kabhi udhar se jo guzrega karwan apna

to hum bhi dekhenge dariya mein kitna pani hai

main ab bhi shan se zinda hun shahr-e-qatil mein

mere KHuda ki yaqinan ye mehrbani hai

bura na mano to main saf saf ye kah dun

tumhaare pyar ka dawa faqat zabani hai

andhera rahta na baqi kahin magar 'afzal'

kab aandhiyon ne charaghon ki baat mani hai

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sulagti Ret Pe Tahrir Jo Kahani Hai In English By Famous Poet Afzal Allahabadi. Sulagti Ret Pe Tahrir Jo Kahani Hai is written by Afzal Allahabadi. Read famous Poem Sulagti Ret Pe Tahrir Jo Kahani Hai for youth and Student by Afzal Allahabadi. Free Download Sulagti Ret Pe Tahrir Jo Kahani Hai in PDF.