Gum-sum Hawa Ke PeD Se LipTa Hua Hun Mein

gum-sum hawa ke peD se lipTa hua hun mein

katbe pe apne hath se likkha hua hun main

aankhon mein waswason ki nai nind bas gai

so jaun ek umr se jaga hua hun main

yarab ragon mein KHun ki hiddat nahin rahi

ya karb ki salib pe laTka hua hun main

apni bulandiyon se girun bhi to kis tarah

phaili hui fazaon mein bikhra hua hun main

patte gire to aur bhi aaseb ban gae

wo shor hai ki KHud se bhi sahma hua hun main

shaKHon se TuTne ki sada dur tak gai

mahsus ho raha hai ki TuTa hua hun main

wo aag hai ki sari jaDen jal ke rah gain

wo zahr hai ki phul se kanTa hua hun main

kaTte hue tane ka bhi nocha gaya libas

gir kar zamin pe aur bhi ruswa hua hun main

'afzal' main sochta hun ye kya ho gaya mujhe

miTTi mili to aur bhi chaTKHa hua hun main

(971) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gum-sum Hawa Ke PeD Se LipTa Hua Hun Mein In English By Famous Poet Afzal Minhas. Gum-sum Hawa Ke PeD Se LipTa Hua Hun Mein is written by Afzal Minhas. Read famous Poem Gum-sum Hawa Ke PeD Se LipTa Hua Hun Mein for youth and Student by Afzal Minhas. Free Download Gum-sum Hawa Ke PeD Se LipTa Hua Hun Mein in PDF.