Tum Aur Fareb Khao Bayan-e-raqib Se

tum aur fareb khao bayan-e-raqib se

tum se to kam gila hai ziyaada nasib se

goya tumhaari yaad hi mera ilaj hai

hota hai pahron zikr tumhaara tabib se

barbaad dil ka aaKHiri sarmaya thi umid

wo bhi to tum ne chhin liya mujh gharib se

dhundla chali nigah dam-e-wapsin hai ab

aa pas aa ke dekh lun tujh ko qarib se

(1674) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Aur Fareb Khao Bayan-e-raqib Se In English By Famous Poet Agha Hashr Kashmiri. Tum Aur Fareb Khao Bayan-e-raqib Se is written by Agha Hashr Kashmiri. Read famous Poem Tum Aur Fareb Khao Bayan-e-raqib Se for youth and Student by Agha Hashr Kashmiri. Free Download Tum Aur Fareb Khao Bayan-e-raqib Se in PDF.