Pahle Hum Ashk The Phir Dida-e-nam-nak Hue

pahle hum ashk the phir dida-e-nam-nak hue

ek ju-e-ab-e-rawan hath lagi pak hue

aur phir sada-dili dil mein kahin dafn hui

aur phir dekhte hi dekhte chaalak hue

aur phir sham hui, rang uDe, jam bane

aur phir zikr chhiDa, thoDe se ghamnak hue

aur phir aah bhari ashk bahe, sher kahe

aur phir raqs kiya, dhul uDi, KHak hue

aur phir hum kasi pa-posh ka paiwand bane

aur phir apne bhi charche sar-e-aflak hue

aur phir yaad kiya ism paDha, phunk diya

aur phir koh-e-giran bhi KHas-o-KHashak hue

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle Hum Ashk The Phir Dida-e-nam-nak Hue In English By Famous Poet Ahmad Ata. Pahle Hum Ashk The Phir Dida-e-nam-nak Hue is written by Ahmad Ata. Read famous Poem Pahle Hum Ashk The Phir Dida-e-nam-nak Hue for youth and Student by Ahmad Ata. Free Download Pahle Hum Ashk The Phir Dida-e-nam-nak Hue in PDF.