Dost Ban Kar Bhi Nahin Sath Nibhane Wala

dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala

wahi andaz hai zalim ka zamane wala

ab use log samajhte hain giraftar mera

saKHt nadim hai mujhe dam mein lane wala

subh-dam chhoD gaya nikhat-e-gul ki surat

raat ko ghuncha-e-dil mein simaT aane wala

kya kahen kitne marasim the hamare us se

wo jo ek shaKHs hai munh pher ke jaane wala

tere hote hue aa jati thi sari duniya

aaj tanha hun to koi nahin aane wala

muntazir kis ka hun TuTi hui dahliz pe main

kaun aaega yahan kaun hai aane wala

kya KHabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna

hai wahi mujh ko sar-e-dar bhi lane wala

main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte

hai koi KHwab ki tabir batane wala

tum takalluf ko bhi iKHlas samajhte ho 'faraaz'

dost hota nahin har hath milane wala

(3573) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dost Ban Kar Bhi Nahin Sath Nibhane Wala In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Dost Ban Kar Bhi Nahin Sath Nibhane Wala is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Dost Ban Kar Bhi Nahin Sath Nibhane Wala for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Dost Ban Kar Bhi Nahin Sath Nibhane Wala in PDF.