Dukh Fasana Nahin Ki Tujhse Kahen

dukh fasana nahin ki tujh se kahen

dil bhi mana nahin ki tujh se kahen

aaj tak apni bekali ka sabab

KHud bhi jaana nahin ki tujh se kahen

be-tarah haal-e-dil hai aur tujh se

dostana nahin ki tujh se kahen

ek tu harf-e-ashna tha magar

ab zamana nahin ki tujh se kahen

qasida hum faqir logon ka

ek Thikana nahin ki tujh se kahen

ai KHuda dard-e-dil hai baKHshish-e-dost

aab-o-dana nahin ki tujh se kahen

ab to apna bhi us gali mein 'faraaz'

aana jaana nahin ki tujh se kahen

(3832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dukh Fasana Nahin Ki Tujhse Kahen In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Dukh Fasana Nahin Ki Tujhse Kahen is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Dukh Fasana Nahin Ki Tujhse Kahen for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Dukh Fasana Nahin Ki Tujhse Kahen in PDF.