Faqih-e-shahr Ki Majlis Se Kuchh Bhala Na Hua

faqih-e-shahr ki majlis se kuchh bhala na hua

ki us se mil ke mizaj aur kafirana hua

abhi abhi wo mila tha hazar baaten kin

abhi abhi wo gaya hai magar zamana hua

wo raat bhul chuko wo suKHan na doharao

wo raat KHwab hui wo suKHan fasana hua

kuchh ab ke aise kaDe the firaq ke mausam

teri hi baat nahin main bhi kya se kya na hua

hujum aisa ki rahen nazar nahin aatin

nasib aisa ki ab tak to qafila na hua

shahid-e-shab faqat ahmad-'faraaz' hi to nahin

ki jo charagh-ba-kaf tha wahi nishana hua

(1748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faqih-e-shahr Ki Majlis Se Kuchh Bhala Na Hua In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Faqih-e-shahr Ki Majlis Se Kuchh Bhala Na Hua is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Faqih-e-shahr Ki Majlis Se Kuchh Bhala Na Hua for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Faqih-e-shahr Ki Majlis Se Kuchh Bhala Na Hua in PDF.