Jab Tujhe Yaad Karen Kar-e-jahan Khenchta Hai

jab tujhe yaad karen kar-e-jahan khenchta hai

aur phir ishq wahi koh-e-giran khenchta hai

kisi dushman ka koi tir na pahuncha mujh tak

dekhna ab ke mera dost kaman khenchta hai

ahd-e-fursat mein kisi yar-e-guzashta ka KHayal

jab bhi aata hai to jaise rag-e-jaan khenchta hai

dil ke TukDon ko kahan joD saka hai koi

phir bhi aawaza-e-aina-garan khenchta hai

intiha ishq ki koi na hawas ki koi

dekhna ye hai ki had kaun kahan khenchta hai

khinchte jate hain rasan-basta ghulamon ki tarah

jis taraf qafila-e-umr-e-rawan khenchta hai

hum to rahwar-e-zabun hain wo muqaddar ka sawar

KHud hi mahmez kare KHud hi inan khenchta hai

rishta-e-tegh-o-gulu ab bhi salamat hai 'faraaz'

ab bhi maqtal ki taraf dil sa jawan khenchta hai

(4356) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tujhe Yaad Karen Kar-e-jahan Khenchta Hai In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Jab Tujhe Yaad Karen Kar-e-jahan Khenchta Hai is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Jab Tujhe Yaad Karen Kar-e-jahan Khenchta Hai for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Jab Tujhe Yaad Karen Kar-e-jahan Khenchta Hai in PDF.