Jab Yar Ne RaKHt-e-safar Bandha Kab Zabt Ka Para Us Din Tha

jab yar ne raKHt-e-safar bandha kab zabt ka para us din tha

har dard ne dil ko sahlaya kya haal hamara us din tha

jab KHwab huin us ki aankhen jab dhund hua us ka chehra

har ashk sitara us shab tha har zaKHm angara us din tha

sab yaron ke hote sote hum kis se gale mil kar rote

kab galiyan apni galiyan thin kab shahr hamara us din tha

jab tujh se zara ghafil Thahre har yaad ne dil par dastak di

jab lab pe tumhaara nam na tha har dukh ne pukara us din tha

ek tum hi 'faraaz' na the tanha ab ke to bala wajib aai

ek bhiD lagi thi maqtal mein har dard ka mara us din tha

(2685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Yar Ne RaKHt-e-safar Bandha Kab Zabt Ka Para Us Din Tha In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Jab Yar Ne RaKHt-e-safar Bandha Kab Zabt Ka Para Us Din Tha is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Jab Yar Ne RaKHt-e-safar Bandha Kab Zabt Ka Para Us Din Tha for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Jab Yar Ne RaKHt-e-safar Bandha Kab Zabt Ka Para Us Din Tha in PDF.