Jis Samt Bhi Dekhun Nazar Aata Hai Ki Tum Ho

jis samt bhi dekhun nazar aata hai ki tum ho

ai jaan-e-jahan ye koi tum sa hai ki tum ho

ye KHwab hai KHushbu hai ki jhonka hai ki pal hai

ye dhund hai baadal hai ki saya hai ki tum ho

is did ki saat mein kai rang hain larzan

main hun ki koi aur hai duniya hai ki tum ho

dekho ye kisi aur ki aankhen hain ki meri

dekhun ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho

ye umr-e-gurezan kahin Thahre to ye jaanun

har sans mein mujh ko yahi lagta hai ki tum ho

har bazm mein mauzu-e-suKHan dil-zadagan ka

ab kaun hai shirin hai ki laila hai ki tum ho

ek dard ka phaila hua sahra hai ki main hun

ek mauj mein aaya hua dariya hai ki tum ho

wo waqt na aae ki dil-e-zar bhi soche

is shahr mein tanha koi hum sa hai ki tum ho

aabaad hum aashufta-saron se nahin maqtal

ye rasm abhi shahr mein zinda hai ki tum ho

ai jaan-e-'faraaz' itni bhi taufiq kise thi

hum ko gham-e-hasti bhi gawara hai ki tum ho

(7940) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Samt Bhi Dekhun Nazar Aata Hai Ki Tum Ho In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Jis Samt Bhi Dekhun Nazar Aata Hai Ki Tum Ho is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Jis Samt Bhi Dekhun Nazar Aata Hai Ki Tum Ho for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Jis Samt Bhi Dekhun Nazar Aata Hai Ki Tum Ho in PDF.