Kisi Jaanib Se Bhi Parcham Na Lahu Ka Nikla

kisi jaanib se bhi parcham na lahu ka nikla

ab ke mausam mein bhi aalam wahi hu ka nikla

dast-e-qatil se kuchh ummid-e-shafa thi lekin

nok-e-KHanjar se bhi kanTa na gulu ka nikla

ishq ilzam lagata tha hawas par kya kya

ye munafiq bhi tere wasl ka bhuka nikla

ji nahin chahta mai-KHane ko jaen jab se

shaiKH bhi bazm-nashin ahl-e-subu ka nikla

dil ko hum chhoD ke duniya ki taraf aae the

ye shabistan bhi isi ghaaliya-mu ka nikla

hum abas sozan-o-rishta liye galiyon mein phire

kisi dil mein na koi kaam rafu ka nikla

yar-e-be-faiz se kyun hum ko tawaqqo thi 'faraaz'

jo na apna na hamara na adu ka nikla

(1720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Jaanib Se Bhi Parcham Na Lahu Ka Nikla In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Kisi Jaanib Se Bhi Parcham Na Lahu Ka Nikla is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Kisi Jaanib Se Bhi Parcham Na Lahu Ka Nikla for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Kisi Jaanib Se Bhi Parcham Na Lahu Ka Nikla in PDF.