Qurbat Bhi Nahin Dil Se Utar Bhi Nahin Jata

qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata

wo shaKHs koi faisla kar bhi nahin jata

aankhen hain ki KHali nahin rahti hain lahu se

aur zaKHm-e-judai hai ki bhar bhi nahin jata

wo rahat-e-jaan hai magar is dar-badri mein

aisa hai ki ab dhyan udhar bhi nahin jata

hum dohri aziyyat ke giraftar musafir

panw bhi hain shal shauq-e-safar bhi nahin jata

dil ko teri chahat pe bharosa bhi bahut hai

aur tujh se bichhaD jaane ka Dar bhi nahin jata

pagal hue jate ho 'faraaz' us se mile kya

itni si KHushi se koi mar bhi nahin jata

(3894) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qurbat Bhi Nahin Dil Se Utar Bhi Nahin Jata In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Qurbat Bhi Nahin Dil Se Utar Bhi Nahin Jata is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Qurbat Bhi Nahin Dil Se Utar Bhi Nahin Jata for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Qurbat Bhi Nahin Dil Se Utar Bhi Nahin Jata in PDF.