Qurbaton Mein Bhi Judai Ke Zamane Mange

qurbaton mein bhi judai ke zamane mange

dil wo be-mehr ki rone ke bahane mange

hum na hote to kisi aur ke charche hote

KHilqat-e-shahr to kahne ko fasane mange

yahi dil tha ki tarasta tha marasim ke liye

ab yahi tark-e-talluq ke bahane mange

apna ye haal ki ji haar chuke luT bhi chuke

aur mohabbat wahi andaz purane mange

zindagi hum tere daghon se rahe sharminda

aur tu hai ki sada aaina-KHane mange

dil kisi haal pe qane hi nahin jaan-e-'faraaz'

mil gae tum bhi to kya aur na jaane mange

(8431) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qurbaton Mein Bhi Judai Ke Zamane Mange In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Qurbaton Mein Bhi Judai Ke Zamane Mange is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Qurbaton Mein Bhi Judai Ke Zamane Mange for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Qurbaton Mein Bhi Judai Ke Zamane Mange in PDF.