Qurb-e-jaanan Ka Na Mai-KHane Ka Mausam Aaya

qurb-e-jaanan ka na mai-KHane ka mausam aaya

phir se be-sarfa ujaD jaane ka mausam aaya

kunj-e-ghurbat main kabhi gosha-e-zindan mein the hum

jaan-e-jaan jab bhi tere aane ka mausam aaya

ab lahu rone ki KHwahish na lahu hone ki

dil-e-zinda tere mar jaane ka mausam aaya

kucha-e-yar se har fasl mein guzre hain magar

shayad ab jaan se guzar jaane ka mausam aaya

koi zanjir koi harf-e-KHirad le aaya

fasl-e-gul aai ki diwane ka mausam aaya

sail-e-KHun shahr ki galiyon mein dar aaya hai 'faraaz'

aur tu KHush hai ki ghar jaane ka mausam aaya

(2365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qurb-e-jaanan Ka Na Mai-KHane Ka Mausam Aaya In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Qurb-e-jaanan Ka Na Mai-KHane Ka Mausam Aaya is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Qurb-e-jaanan Ka Na Mai-KHane Ka Mausam Aaya for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Qurb-e-jaanan Ka Na Mai-KHane Ka Mausam Aaya in PDF.