Raat Ke Pichhle Pahar Rone Ke Aadi Roe

raat ke pichhle pahar rone ke aadi roe

aap aae bhi magar rone ke aadi roe

un ke aa jaane se kuchh tham se gae the aansu

un ke jate hi magar rone ke aadi roe

hae pabandi-e-adab teri mahfil ki

ki sar-e-rahguzar rone ke aadi roe

ek taqrib-e-tabassum thi bahaaran lekin

phir bhi aankhen huin tar rone ke aadi roe

dard-mandon ko kahin bhi to qarar aa na saka

koi sahra ho ki ghar rone ke aadi roe

ai 'faraaz' aise mein barsat kaTegi kyunkar

gar yunhi sham-o-sahar rone ke aadi roe

(3785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ke Pichhle Pahar Rone Ke Aadi Roe In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Raat Ke Pichhle Pahar Rone Ke Aadi Roe is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Raat Ke Pichhle Pahar Rone Ke Aadi Roe for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Raat Ke Pichhle Pahar Rone Ke Aadi Roe in PDF.