Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa

kuchh to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh

tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa

pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to

rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa

kis kis ko bataenge judai ka sabab hum

tu mujh se KHafa hai to zamane ke liye aa

ek umr se hun lazzat-e-girya se bhi mahrum

ai rahat-e-jaan mujh ko rulane ke liye aa

ab tak dil-e-KHush-fahm ko tujh se hain ummiden

ye aaKHiri shamen bhi bujhane ke liye aa

(4817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa in PDF.