Rog Aise Bhi Gham-e-yar Se Lag Jate Hain

rog aise bhi gham-e-yar se lag jate hain

dar se uThte hain to diwar se lag jate hain

ishq aaghaz mein halki si KHalish rakhta hai

baad mein saikDon aazar se lag jate hain

pahle pahle hawas ik-adh dukan kholti hai

phir to bazar ke bazar se lag jate hain

bebasi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hai

ro na paen to gale yar se lag jate hain

katranen gham ki jo galiyon mein uDi phirti hain

ghar mein le aao to ambar se lag jate hain

dagh daman ke hon dil ke hon ki chehre ke 'faraaz'

kuchh nishan umr ki raftar se lag jate hain

(3700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rog Aise Bhi Gham-e-yar Se Lag Jate Hain In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Rog Aise Bhi Gham-e-yar Se Lag Jate Hain is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Rog Aise Bhi Gham-e-yar Se Lag Jate Hain for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Rog Aise Bhi Gham-e-yar Se Lag Jate Hain in PDF.