Samne Uske Kabhi Uski Sataish Nahin Ki

samne us ke kabhi us ki sataish nahin ki

dil ne chaha bhi agar honTon ne jumbish nahin ki

ahl-e-mahfil pe kab ahwal khula hai apna

main bhi KHamosh raha us ne bhi pursish nahin ki

jis qadar us se talluq tha chala jata hai

us ka kya ranj ho jis ki kabhi KHwahish nahin ki

ye bhi kya kam hai ki donon ka bharam qaem hai

us ne baKHshish nahin ki hum ne guzarish nahin ki

ek to hum ko adab aadab ne pyasa rakkha

us pe mahfil mein surahi ne bhi gardish nahin ki

hum ki dukh oDh ke KHalwat mein paDe rahte hain

hum ne bazar mein zaKHmon ki numaish nahin ki

ai mere abr-e-karam dekh ye virana-e-jaan

kya kisi dasht pe tu ne kabhi barish nahin ki

kaT mare apne qabile ki hifazat ke liye

maqtal-e-shahr mein Thahre rahe jumbish nahin ki

wo hamein bhul gaya ho to ajab kya hai 'faraaz'

hum ne bhi mel-mulaqat ki koshish nahin ki

(14773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samne Uske Kabhi Uski Sataish Nahin Ki In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Samne Uske Kabhi Uski Sataish Nahin Ki is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Samne Uske Kabhi Uski Sataish Nahin Ki for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Samne Uske Kabhi Uski Sataish Nahin Ki in PDF.