Aisa Bhi Nahin Ki

aisa bhi nahin ki mujhe zindagi ke peD ke pas

be-as aur be-sahaara chhoD diya gaya ho

main ne abhi abhi gilahriyon ki aawaz suni hai

gilahriyan mere liye

bahisht ke aKHroT la rahi hain

siwae is ke ki aadam-zad kahin dikhai nahin deta

magar jangal bol raha hai ki is ke bol mein

meri bichhDi hui aawaz shamil hai

mere baal-bachchon ka pyar shamil hai

siwae is ke ki jin logon ne mujhe be-nam

jaziron mein le jaane ka wada kiya tha

wo ab kahin dikhai nahin diye

to ab main kis se kahun

ki kahne sunne wala zindagi ka nizam to baqi nahin raha

awae us ke ki miTTi kah rahi hai

ki wo an-ginat peD paude tab ugaegi

jab main yahan hunga hi nahin

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Bhi Nahin Ki In English By Famous Poet Ahmad Hamesh. Aisa Bhi Nahin Ki is written by Ahmad Hamesh. Read famous Poem Aisa Bhi Nahin Ki for youth and Student by Ahmad Hamesh. Free Download Aisa Bhi Nahin Ki in PDF.