Dhund Ke Rishte Hai

dhund ke rishte gahre hote jate hain

aawaz nahin jo aae

aur kanon ki bekar hawas par

jalte pani ke chhinTe de

soch sako to socho

aur is Dolte pal ki rakh par

apne ulTe sidhe nam likho

shankar durga widdya wijay sumitra

jo ab bhi hai wo kabhi na tha

jo kabhi na tha wo ab bhi hai

wo ab bhi hai aur tum us ko pahchante ho

jab dhund ka jhuT

tumhaare sar par nachega

tum rooge

kisi ko is ke na hone ka dosh na do

wo kaun tha

apne barson ke bhule bisre iman ki lajja

bhigi miTTi mein band kiye

is dukhi zamin pe haar gaya

pahchante ho

shayad

shayad to phir jaane do

bure bhale to peT ki kali tah mein hote hain

aur maTyali uljhan

aur jism pe kitni sard lakiren

khinchi jati hain

koi nahin joru ke

koi nahin joru ke

abhilasha kab paida hoti hai

kitni ghaDiyan roz baDhati hai

kitni ghaDiyan roz ghaTati hai

kab jagti hai kab soti hai

abhilasha durga hai

aur durga diesel pina sikh gai hai

us ne dudhiya kapDe aur sunahre gahne

utar diye hain

khilaune ab bhi mil jate hain

par dharti anaj se KHali hai

aur jeb mein KHak bhari hai

KHak chhupa kar chalna mushkil hai

jab saDken jati hon

jab dhup aur kuDe ke dhabbe

raftar ghulawaT chhoTe baDe ajdad

samay ke uDte zarron ka

be-zamir bhi jag uThe

to jeb ki tah mein

KHak chhupa ke chalna mushkil hai

shor hi shor aur gunge panw

taza aKHbar ke TukDe duniya

darwaze band karo

nanhe wijay se kah do wo so jae

duri sirf sisakti duri hai

wo kabhi nahin bhulaegi

darwaza band karo aur chup ho jao

dhund ke rishte gahre hote jate hain

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhund Ke Rishte Hai In English By Famous Poet Ahmad Hamesh. Dhund Ke Rishte Hai is written by Ahmad Hamesh. Read famous Poem Dhund Ke Rishte Hai for youth and Student by Ahmad Hamesh. Free Download Dhund Ke Rishte Hai in PDF.