Dar-asl Ye Nazm Likhi Hi Nahin Gai

baz baaten bahut mamuli hoti hain

magar un ke dant pure jiwan ko kaTte rahte hain

ye ek nazm ke darmiyan hua aaghaz tha jo iKHtitam tak pahunchne se pahle hi puri nazm samet gum ho gaya

shayad baz bahut mamuli baaton ke dant ek puri nazm ke jiwan ko musalsal kaTte rahne ke liye honge

so tumhaari nazm gum ho gai 'hamesh'

so tum bhi gum ho jao 'hamesh'

an-dekhi tahdariyon mein gum ho jao 'hamesh'

is se pahle ki kisi aawaz ke dant adam-e-tarik mein kaund jaen

kyun na tum abhi ye jaan lo ki

mamuli se mamuli baat apne hisse ki aawaz se guzar gae na jaanne wale ke liye to bazgasht ban jati hai

magar jaanne wale ke liye maut ke dant

warna ye usi ka to saundarya jahan-guzida hai ki

dhup itni dhuan-dhaar gir rahi hai ki bijli ke khambe aur chale gae hain

ab kabhi kuchh nahin sunai de sakega

pahle bhi kya sunai diya hoga

ki ek abhagi samaat ko ek ghanTe ki nasha guman zarb-e-nadida

ya tin minute ki sukut-e-KHush-gawar Thokar par rakh liya hoga

aur kaha gaya ki ab intizar na karna ki ab bahut ho chuka ki nahin chahiye ki jo kabhi chahiye tha

so jis rah par aaj tum udas maqsum baiThe ho

is se tumhaare hisse ki koi man-chahi rah to ke nahin milti

wo koi aur zamana raha hoga

warna kahan ki chambal nadi aur kahan us ka pani

aur kabhi kinare se Dala hua purana tanbe ka paisa us ki tah mein paDa nazar aa raha tha

to wahan ab tak kitni hi hasid sauteli parchhaiyon ka nuzul hua hoga

tumhaare aansuon ke sankan ko an-dekhi miTTi mein daba ke upar se paT dene ke liye

so gum ho jao 'hamesh'

us ki nazar se aur apni nazar se bhi

aisa to kabhi nahin hua hoga

ki agar kisi ne KHuda ko nahin dekha

to kya KHuda ne bhi kisi ko nahin dekha

ki agar koi KHuda se nahin mila

to kya KHuda bhi kisi se nahin mila

phir wo kaun hai jo apne jazb ke hissa ki aasmani kanghi mol le ke apne sar ke beach

mang kaDhta hai

us samay jab us ke gham-dida hisse ki duniya mein us ke lutf-e-nadida ki barish ho rahi hoti hai

ya shayad kisi jahan-e-asuda ki ummid mein kisi jahan-e-na-asuda se guzarna paDta hai

tab wapas le jaane ke liye aayaton se shukr ke ek dane ko sameT ke

apni jagah le jaane wali chiyunTiyon ke jamaw se purani yaadon mein mahfuz rakhi

hathiyon ki qatar se e'tibar-e-adam mein zam hona paDta hai

bhul jao ki tum us ke liye siyah gulu-band mein chamakte tin nagon mein se kisi ek nag mein bhi shamil ho sakoge

(1254) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar-asl Ye Nazm Likhi Hi Nahin Gai In English By Famous Poet Ahmad Hamesh. Dar-asl Ye Nazm Likhi Hi Nahin Gai is written by Ahmad Hamesh. Read famous Poem Dar-asl Ye Nazm Likhi Hi Nahin Gai for youth and Student by Ahmad Hamesh. Free Download Dar-asl Ye Nazm Likhi Hi Nahin Gai in PDF.