Is Se Ziyaada Kuchh Nahin

main nahin jaanta ki yahan se kisi ne mujh se kuchh kaha

ya wahan se kisi ne tum se kuchh kaha

ya kisi ne kuchh bhi nahin kaha

to bina kuchh kahe hue hi kuchh sun liya hoga

nind mein chalte hue aadmi ke liye

hamwar rah bhi khai ban jati hai

aur kahin bhi girne ke liye

girne wale ko bhi kuchh bataya nahin jata

aur agar girane wala KHuda ke dil mein baiTha ho

to girne wale ko

mahz ye batane ke liye ki chalo uTho

tumhein giraya jaane wala hai

to kya wo use dekh sakta hai

so kyun na baat wahin se shurua ki jae

jahan se aadmi ki zat ne hi

aadmi ki zat se kaha

ki agar sat samundaron se bhi baDh kar

tumhaare aansu aur tumhaare gham honge

to chalo mil ke banT lenge

aur tumhein itna hansaen

ki jiwan bhar kabhi rone ke liye

ek aansu bhi nahin milega

magar wo ye nahin jaanti hogi

ki kabhi nind ko nind aa jati hai

bilkul waise hi

jaise maut ko bhi maut aati hai

koi soya hua peD bhi

kisi soe hue peD mein so jata hai

aur yahi wo samay hota hai

jab zindagi ke tamam kaam

bahut KHub karte hue

aadmi ki nazar ke samne bhi

tarik diwar aa jati hai

so yahan tak pahunch ke malum hua

ki kuchh bhi to nahin tha

ki agar kuchh hota bhi

to us ke hone se pahle

bahut kuchh ho chuka hota

koi kisi ke liye kabhi nahin jaga

koi kisi ke liye kabhi nahin roya

koi kisi ke liye kabhi nahin jala

koi kisi ke liye kabhi nahin bujha

kisi bahut baDe jhuT se mile hue

kisi bahut baDe sach mein

na koi jhuT milta hai na koi sach

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Se Ziyaada Kuchh Nahin In English By Famous Poet Ahmad Hamesh. Is Se Ziyaada Kuchh Nahin is written by Ahmad Hamesh. Read famous Poem Is Se Ziyaada Kuchh Nahin for youth and Student by Ahmad Hamesh. Free Download Is Se Ziyaada Kuchh Nahin in PDF.