Jaisi Honi Ho Wo Raftar Nahin Bhi Hoti

jaisi honi ho wo raftar nahin bhi hoti

rah is samt ki hamwar nahin bhi hoti

main tahi-dast laDai ke hunar sikhta hun

kabhi is hath mein talwar nahin bhi hoti

phir bhi hum log the rasmon mein aqidon mein juda

gar yahan bich mein diwar nahin bhi hoti

wo meri zat se inkar kiye rakhta hai

gar kabhi surat-e-inkar nahin bhi hoti

jis ko bekar samajh kar kisi kone mein rakhen

aisa hota hai ki bekar nahin bhi hoti

dil kisi bazm mein jate hi machalta hai 'KHayal'

so tabiat kahin be-zar nahin bhi hoti

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaisi Honi Ho Wo Raftar Nahin Bhi Hoti In English By Famous Poet Ahmad Khayal. Jaisi Honi Ho Wo Raftar Nahin Bhi Hoti is written by Ahmad Khayal. Read famous Poem Jaisi Honi Ho Wo Raftar Nahin Bhi Hoti for youth and Student by Ahmad Khayal. Free Download Jaisi Honi Ho Wo Raftar Nahin Bhi Hoti in PDF.