ZaKHm Khana Hi Jab Muqaddar Ho

zaKHm khana hi jab muqaddar ho

phir koi phul ho ki patthar ho

main hun KHwab-e-giran ke narghe mein

raat guzre to marka sar ho

phir ghanimon se be-KHabar hai sipah

phir aqab se numud lashkar ho

kya ajab hai ki KHud hi mara jaun

aur ilzam bhi mere sar ho

hain zamin par jo gard-baad se hum

ye bhi shayad falak ka chakkar ho

us ko tabir hum karen kis se

wo jo hadd-e-bayan se bahar ho

dekhna hi jo shart Thahri hai

phir to aankhon mein koi manzar ho

(874) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm Khana Hi Jab Muqaddar Ho In English By Famous Poet Ahmad Mahfuz. ZaKHm Khana Hi Jab Muqaddar Ho is written by Ahmad Mahfuz. Read famous Poem ZaKHm Khana Hi Jab Muqaddar Ho for youth and Student by Ahmad Mahfuz. Free Download ZaKHm Khana Hi Jab Muqaddar Ho in PDF.