Dawa To Kiya Husn-e-jahan-soz Ka Sab Ne

dawa to kiya husn-e-jahan-soz ka sab ne

duniya ka magar rup baDhaya teri chhab ne

tu nind mein bhi meri taraf dekh raha tha

sone na diya mujh ko siyah-chashmi-e-shab ne

har zaKHm pe dekhi hain tere pyar ki mohren

ye gul bhi khilae hain teri surKHi-e-lab ne

KHushbu-e-badan aai hai phir mauj-e-saba se

phir kis ko pukara hai tere shahr tarab ne

darkar hai mujh ko to faqat izn-e-tabassum

patthar se agar phul ugae mere rab ne

wo husn hai insan ki meraj-e-tasawwur

jis husn ko puja hai mere sher o adab ne

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dawa To Kiya Husn-e-jahan-soz Ka Sab Ne In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Dawa To Kiya Husn-e-jahan-soz Ka Sab Ne is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Dawa To Kiya Husn-e-jahan-soz Ka Sab Ne for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Dawa To Kiya Husn-e-jahan-soz Ka Sab Ne in PDF.