Dilon Se Aarzu-e-umr-e-jawedan Na Gai

dilon se aarzu-e-umr-e-jawedan na gai

koi nigah pas-e-gard-e-karwan na gai

wo aur chiz hai hote hain jis se dil shadab

teri bahaar se virani-e-KHizan na gai

nikal ke KHuld se bhi aadmi na pachhtaya

zamin pe bhi chaman-arai-e-guman na gai

bas ek kunj-e-qafas tak na aa saki warna

saba chali to chaman mein kahan kahan na gai

kahan kahan na huin sabt husn ki mohren

kali hawa mein bikhar kar bhi raegan na gai

meri dua ki ye ghairat hai kitni qabil-e-dad

ki lab tak aai magar su-e-asman na gai

dayar-e-ishq khanDar aur dasht-e-dil sunsan

magar 'nadim' ki rangini-e-bayan na gai

(886) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dilon Se Aarzu-e-umr-e-jawedan Na Gai In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Dilon Se Aarzu-e-umr-e-jawedan Na Gai is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Dilon Se Aarzu-e-umr-e-jawedan Na Gai for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Dilon Se Aarzu-e-umr-e-jawedan Na Gai in PDF.