Ehsas Mein Phul Khil Rahe Hain

ehsas mein phul khil rahe hain

patjhaD ke ajib silsile hain

kuchh itni shadid tirgi hai

aankhon mein sitare tairte hain

dekhen to hawa jami hui hai

sochen to daraKHt jhumte hain

suqraat ne zahr pi liya tha

hum ne jine ke dukh sahe hain

hum tujh se bigaD ke jab bhi uThe

phir tere huzur aa gae hain

hum aks hain ek dusre ka

chehre ye nahin hain aaine hain

lamhon ka ghubar chha raha hai

yaadon ke charagh jal rahe hain

suraj ne ghane sanobaron mein

jale se shuaon ke bune hain

yaksan hain firaq-o-wasl donon

ye marhale ek se kaDe hain

pa kar bhi to nind uD gai thi

kho kar bhi to rat-jage mile hain

jo din teri yaad mein kaTe the

mazi ke khanDar bane khaDe hain

jab tera jamal DhunDte the

ab tera KHayal DhunDte hain

hum dil ke gudaz se hain majbur

jab KHush bhi hue to roe hain

hum zinda hain ai firaq ki raat

pyari tere baal kyun khule hain

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ehsas Mein Phul Khil Rahe Hain In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Ehsas Mein Phul Khil Rahe Hain is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Ehsas Mein Phul Khil Rahe Hain for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Ehsas Mein Phul Khil Rahe Hain in PDF.