Ruh Labon Tak Aa Kar Soche

ruh labon tak aa kar soche kaise chhoDun qarya-e-jaan

yusuf qasr-e-shahi mein bhi kab bhula kanan ki galiyan

maut qarib aai to duniya kitni muqaddas lagti hai

kahish-e-dil bhi KHwahish-e-dil hai aafat-e-jaan bhi rahat-e-jaan

meri wahshat ko to bahut thi gosha-e-chashm-e-yar ki sair

yun to adam mein wusat hogi arsh-ba-arsh karan-ba-karan

ghunche ab tak rang bhare hain ab tak honT umang-bhare

TuTi-phuTi qabron se hain pathrai aankhen nigaran

sirf ek nigah-e-garm se TuTen shoalon mein parwan chaDhen

hae ye nazuk nazuk rishte hae ye bazm-e-shish-garan

dasht-o-daman mein koh kamar mein bikhre hue hain phul hi phul

ru-e-nigar-e-giti par hain sabt mere boson ke nishan

aankh ki ek jhapki mein bita kitne baras ka qurb-e-jamal

ishq ke ek pal mein guzre hain kitne qaran kitni sadiyan

sari duniya mera kaba sab insan mere mahbub

dushman bhi do ek the lekin dushman bhi to the insan

dard-e-hayat kahin ab ja kar banne laga tha husn-e-hayat

kis ko KHabar thi mahw rahegi qat-e-safar mein umr-e-rawan

jannat ki yaKH-bastagyon ko garmaega us ka KHayal

subh-e-abad tak jami rahe ye anjuman-e-atish-e-nafasan

(1066) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruh Labon Tak Aa Kar Soche In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Ruh Labon Tak Aa Kar Soche is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Ruh Labon Tak Aa Kar Soche for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Ruh Labon Tak Aa Kar Soche in PDF.