Safar Aur Ham-safar

jangal jangal aag lagi hai basti basti viran hai

kheti kheti rakh uDti hai duniya hai ki bayaban hai

sannaTe ki haibat ne sanson mein pukaren bhar di hain

zehnon mein mabhut KHayalon ne talwaren bhar di hain

qadam qadam par jhulse jhulse KHwab paDe hain rahon mein

subh ko jaise kale kale diye ibaadat-gahon mein

ek ek sang-e-mil mein kitni aankhen hain pathrai hui

ek ek naqsh-e-qadam mein kitni raftaren kafnai hui

ham-safro ai ham-safro kuchh aur bhi nazdik aa ke chalo

jab chalna hi muqaddar Thahra hath mein hath mila ke chalo

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Aur Ham-safar In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Safar Aur Ham-safar is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Safar Aur Ham-safar for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Safar Aur Ham-safar in PDF.