Aasman-zad Zaminon Pe Kahin Nachte Hain

aasman-zad zaminon pe kahin nachte hain

hum wo paikar hain sar-e-arsh-e-barin nachte hain

apna ye jism thirakta hai bas apni dhun par

hum kabhi aur kisi dhun pe nahin nachte hain

apne rangon ko tamashe ka koi shauq nahin

mor jangal mein hi rahte hain wahin nachte hain

tan ke Dere mein hai jaan mast qalandar ki tarah

wahime thak ke jo rukte hain yaqin nachte hain

kab se ek KHwab hai aankhon mein ki tabir bhi hai

us mein gate hain makan aur makin nachte hain

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasman-zad Zaminon Pe Kahin Nachte Hain In English By Famous Poet Ahmad Sagheer Siddiqui. Aasman-zad Zaminon Pe Kahin Nachte Hain is written by Ahmad Sagheer Siddiqui. Read famous Poem Aasman-zad Zaminon Pe Kahin Nachte Hain for youth and Student by Ahmad Sagheer Siddiqui. Free Download Aasman-zad Zaminon Pe Kahin Nachte Hain in PDF.