Meri Raaton Ka Safar Tur Nahin Ho Sakta

meri raaton ka safar tur nahin ho sakta

tu na chahe to bayan nur nahin ho sakta

main ne hijrat ke kai daur kaDe dekhe hain

main kitabon se kabhi dur nahin ho sakta

meri fitrat ki main khil jata hun be-mausam bhi

meri aadat ki main majbur nahin ho sakta

tu ne kis shauq se likkha hai taaruf mera

main kisi lafz mein mahsur nahin ho sakta

mere andar bhi tere nam ki chingari hai

tu mere waste kyun tur nahin ho sakta

jo yahan lafz ki sarhad ke udhar rahta hai

bastiyon mein kabhi mashhur nahin ho sakta

zinda insan use aabaad kiya karte hain

ghar kisi KHwab se mamur nahin ho sakta

ghar ke bahar sabhi lafzon ke tamashai hain

ghar ke andar koi masrur nahin ho sakta

jism ke sare taqaze hain adhure 'ahmad'

ye tasawwur kabhi bharpur nahin ho sakta

(610) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Raaton Ka Safar Tur Nahin Ho Sakta In English By Famous Poet Ahmad Shanas. Meri Raaton Ka Safar Tur Nahin Ho Sakta is written by Ahmad Shanas. Read famous Poem Meri Raaton Ka Safar Tur Nahin Ho Sakta for youth and Student by Ahmad Shanas. Free Download Meri Raaton Ka Safar Tur Nahin Ho Sakta in PDF.