Mohabbaton Ko Kahin Aur Pal Kar Dekho

mohabbaton ko kahin aur pal kar dekho

mata-e-jaan ko badan se nikal kar dekho

badal ke dekho kabhi nisbaton ki duniya ko

badan ko ruh ke KHane mein Dal kar dekho

suno use to samaat se mawara ho kar

jo dekhna ho to aankhen nikal kar dekho

yaqin dasht se phuTega aab-e-ju ki tarah

ki harf-e-la ki gawahi bahaal kar dekho

nafas nafas hai yahan maqbara aqidat ka

ye maqbaron ka jahan paemal kar dekho

isi hawa mein mohabbat ka dip jalta hai

isi jahan ko jahan-e-visal kar dekho

wo sang de to hararat nichoD lo apni

jo phul de to nigah-e-kamal kar dekho

phir us ke baad koi Dar nahin talatum ka

us ek bund ke gham ko wishaal kar dekho

badan ki pyas bhi ek mawara kahani hai

har ek bund ko dariya KHayal kar dekho

palaT ke aaenge sawan ke rang aaankhon mein

tum apne-ap se rishta bahaal kar dekho

wo bolta hai pahaDon ki oT se aksar

kisi pahaD se us ka sawal kar dekho

ye raaz aur kahan tak hamein nibhana hai

kabhi to raat mein suraj nikal kar dekho

tum apne gauhar-e-yakta ko is tarah DhunDo

ki KHud ko be-sar-o-saman KHayal kar dekho

jo dekhna ho kabhi doston ka dil 'ahmad'

khare usul ka patta uchhaal kar dekho

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbaton Ko Kahin Aur Pal Kar Dekho In English By Famous Poet Ahmad Shanas. Mohabbaton Ko Kahin Aur Pal Kar Dekho is written by Ahmad Shanas. Read famous Poem Mohabbaton Ko Kahin Aur Pal Kar Dekho for youth and Student by Ahmad Shanas. Free Download Mohabbaton Ko Kahin Aur Pal Kar Dekho in PDF.