Phulon Mein Ek Rang Hai Aaankhon Ke Nir Ka

phulon mein ek rang hai aaankhon ke nir ka

manzar tamam-tar hai ye fasl-e-zamir ka

rishta wo kya hua meri aaankhon se nir ka

muddat hui hai hadsa dekhe zamir ka

pani utar gaya to zamin sanglaKH thi

tikha sa har sawal tha ranjhe se hir ka

teri azan ke sath main uThta hun pau phaTe

sar mein liye hue koi sajda asir ka

dekha na doston ne imarat ke us taraf

puchha kabhi na haal kisi ne faqir ka

aaina gir paDa tha mere hath se kabhi

phir yaad hadsa nahin koi zamir ka

sahra-e-jism ruh ke andar utar gaya

ab kya dikhae moajaza insan zamir ka

aansu ki ek bund ko aankhen taras gain

is dhup mein jhulas gaya doha kabir ka

aadha falak ke pas tha aadha zamin par

main na-tamam KHwab tha badar-e-munir ka

pakke huruf gard ki surat bikhar gae

sine mein ghaw rah gaya kachchi lakir ka

hoti rahengi barishen 'ahmad' visal ki

KHali rahega jam hamesha faqir ka

(1063) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phulon Mein Ek Rang Hai Aaankhon Ke Nir Ka In English By Famous Poet Ahmad Shanas. Phulon Mein Ek Rang Hai Aaankhon Ke Nir Ka is written by Ahmad Shanas. Read famous Poem Phulon Mein Ek Rang Hai Aaankhon Ke Nir Ka for youth and Student by Ahmad Shanas. Free Download Phulon Mein Ek Rang Hai Aaankhon Ke Nir Ka in PDF.