Subh-e-wajud Hun Ki Shab-e-intizar Hun
subh-e-wajud hun ki shab-e-intizar hun
main aashkar hun ki pas-e-ashkar hun
har rang-e-be-qarar hun har naqsh-e-na-tamam
miTTi ka dard hun ki sitaron ka pyar hun
kuchh to mere wajud ka hissa hai tere pas
warna main apne aap mein kyun intizar hun
ek aur aasman chamakta hai KHwab mein
ek aur kaenat ka aaina-dar hun
tu ne mujhe KHayal kiya tha isi tarah
gard-o-ghubar mein bhi sitara-shiar hun
jari ho be-mahaar talluq ki salsabil
ek aisi barshgal ka ummid-war hun
kaise khaDa hun kis ke sahaare khaDa hun main
apna yaqin hun ki tera e'tibar hun
ek bar apne ghar se nikala gaya tha main
phir is ke baad gardish-e-lail-o-nahaar hun
bas kuchh dinon ki aur saubat hai dhup ki
sahra-e-jism par koi barg-zar hun
tere jamal se meri aaankhon mein nur hai
tera KHayal hai to main bagh-o-bahaar hun
sanson ke darmiyan sulagte hain baal-o-par
phir bhi kisi uDan ka ummid-war hun
'ahmad' kisi zaman-o-makan ka nahin hun main
lamhon ki der hai jo sar-e-abshaar hun
(921) Peoples Rate This