Wo To Mujh Mein Hi Nihan Tha Mujhe Malum Na Tha

wo to mujh mein hi nihan tha mujhe malum na tha

KHun ban kar wo rawan tha mujhe malum na tha

itne majruh the jazbaat hamare jis par

charKH bhi mahw-e-fughan tha mujhe malum na tha

pyas shiddat ki thi sahra bhi taDap jata tha

imtihan sar pe jawan tha mujhe malum na tha

pair to pair yahan ruh ke chhaale nikle

dur itna bhi makan tha mujhe malum na tha

dil bhi hota hai suna karte the har sine mein

dard bhi us mein nihan tha mujhe malum na tha

ishq ke bahr mein ghota to lagaya lekin

baad mein us ke kahan tha mujhe malum na tha

fitna-gar luTne wala sar-e-bazar yahan

itna shirin-zaban tha mujhe malum na tha

husn-e-ulfat ko samae hue sine mein 'nisar'

dil mein ek dard jawan tha mujhe malum na tha

(802) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo To Mujh Mein Hi Nihan Tha Mujhe Malum Na Tha In English By Famous Poet Ahmed Nisar. Wo To Mujh Mein Hi Nihan Tha Mujhe Malum Na Tha is written by Ahmed Nisar. Read famous Poem Wo To Mujh Mein Hi Nihan Tha Mujhe Malum Na Tha for youth and Student by Ahmed Nisar. Free Download Wo To Mujh Mein Hi Nihan Tha Mujhe Malum Na Tha in PDF.