Har Ek Shai Par Bahaar-e-zindagi Mahsus Karta Hun

har ek shai par bahaar-e-zindagi mahsus karta hun

magar ba-in-hama teri kami mahsus karta hun

bhaTak kar bhi kabhi manzil se begana nahin hota

kisi ki ghaebana rahbari mahsus karta hun

main apne dil pe rakh leta hun tohmat bad-gumani ki

agar teri taraf se be-ruKHi mahsus karta hun

ye duniya ajnabi pahle bhi thi aur ab bhi hai lekin

ab apne aap ko bhi ajnabi mahsus karta hun

tumhein is baat ka andaza shayad ho nahin sakta

ki tum ko dekh ki kitni KHushi mahsus karta hun

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Shai Par Bahaar-e-zindagi Mahsus Karta Hun In English By Famous Poet Aish Barni. Har Ek Shai Par Bahaar-e-zindagi Mahsus Karta Hun is written by Aish Barni. Read famous Poem Har Ek Shai Par Bahaar-e-zindagi Mahsus Karta Hun for youth and Student by Aish Barni. Free Download Har Ek Shai Par Bahaar-e-zindagi Mahsus Karta Hun in PDF.