Firaun-e-waqt Koi Bhi Ho Sar-kashi Karo

firaun-e-waqt koi bhi ho sar-kashi karo

yaran-e-shahr meri tarah zindagi karo

amrit nahin nasib to zahrab hi sahi

kuchh to ilaj-e-shiddat-e-tishna-labi karo

ye zulmat-e-tamam musalsal nahin qubul

dil ka lahu bala se jale raushni karo

munh dekhi dosti se ab ukta gaya hai dil

yaro karo KHulus se go dushmani karo

hum har-nafas khilaenge apne lahu se phul

tum ehtimam-e-dar-o-rasan har ghaDi karo

har sher aabgina hai mauj-e-KHayal ka

lo kaam ehtiyat se jab shairi karo

kaliyan khilane aaega jhonka nasim ka

tum rah mein hazar fasilen khaDi karo

(1032) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Firaun-e-waqt Koi Bhi Ho Sar-kashi Karo In English By Famous Poet Ajmal Ajmali. Firaun-e-waqt Koi Bhi Ho Sar-kashi Karo is written by Ajmal Ajmali. Read famous Poem Firaun-e-waqt Koi Bhi Ho Sar-kashi Karo for youth and Student by Ajmal Ajmali. Free Download Firaun-e-waqt Koi Bhi Ho Sar-kashi Karo in PDF.