Kisi Ke Hijr Mein Jina Muhaal Ho Gaya Hai

kisi ke hijr mein jina muhaal ho gaya hai

kise bataen hamara jo haal ho gaya hai

kahin gira hai na raunda gaya hai dil phir bhi

shikasta ho gaya hai paemal ho gaya hai

sahar jo aai hai shab ke tamam hone par

to is mein kaun sa aisa kamal ho gaya hai

koi bhi chiz salamat nahin magar ye dil

shikastagi mein jo apni misal ho gaya hai

udhar charagh jale hain kisi dariche mein

idhar wazifa-e-dil bahaal ho gaya hai

haya ka rang jo aaya hai us ke chehre par

ye rang hasil-e-sham-e-visal ho gaya hai

masafat-e-shab-e-hijran mein chand bhi 'ajmal'

thakan se chur ghamon se niDhaal ho gaya hai

(1041) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke Hijr Mein Jina Muhaal Ho Gaya Hai In English By Famous Poet Ajmal Siraj. Kisi Ke Hijr Mein Jina Muhaal Ho Gaya Hai is written by Ajmal Siraj. Read famous Poem Kisi Ke Hijr Mein Jina Muhaal Ho Gaya Hai for youth and Student by Ajmal Siraj. Free Download Kisi Ke Hijr Mein Jina Muhaal Ho Gaya Hai in PDF.