Ghamza Nahin Hota Ki Ishaara Nahin Hota

ghamza nahin hota ki ishaara nahin hota

aankh un se jo milti hai to kya kya nahin hota

jalwa na ho mani ka to surat ka asar kya

bulbul gul-e-taswir ka shaida nahin hota

allah bachae maraz-e-ishq se dil ko

sunte hain ki ye aariza achchha nahin hota

tashbih tere chehre ko kya dun gul-e-tar se

hota hai shagufta magar itna nahin hota

main naza mein hun aaen to ehsan hai un ka

lekin ye samajh len ki tamasha nahin hota

hum aah bhi karte hain to ho jate hain badnam

wo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghamza Nahin Hota Ki Ishaara Nahin Hota In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Ghamza Nahin Hota Ki Ishaara Nahin Hota is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Ghamza Nahin Hota Ki Ishaara Nahin Hota for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Ghamza Nahin Hota Ki Ishaara Nahin Hota in PDF.