Haal-e-dil Main Suna Nahin Sakta

haal-e-dil main suna nahin sakta

lafz mana ko pa nahin sakta

ishq nazuk-mizaj hai behad

aql ka bojh uTha nahin sakta

hosh aarif ki hai yahi pahchan

ki KHudi mein sama nahin sakta

ponchh sakta hai ham-nashin aansu

dagh-e-dil ko miTa nahin sakta

mujh ko hairat hai us ki qudrat par

alam us ko ghaTa nahin sakta

(1484) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haal-e-dil Main Suna Nahin Sakta In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Haal-e-dil Main Suna Nahin Sakta is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Haal-e-dil Main Suna Nahin Sakta for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Haal-e-dil Main Suna Nahin Sakta in PDF.