Halqe Nahin Hain Zulf Ke Halqe Hain Jal Ke

halqe nahin hain zulf ke halqe hain jal ke

han ai nigah-e-shauq zara dekh-bhaal ke

pahunche hain ta-kamar jo tere gesu-e-rasa

mani ye hain kamar bhi barabar hai baal ke

bos-o-kanar-o-wasl-e-hasinan hai KHub shaghl

kamtar buzurg honge KHilaf is KHayal ke

qamat se tere sane-e-qudrat ne ai hasin

dikhla diya hai hashr ko sanche mein Dhaal ke

shan-e-dimagh ishq ke jalwe se ye baDhi

rakhta hai hosh bhi qadam apne sambhaal ke

zinat muqaddama hai musibat ka dahr mein

sab shama ko jalate hain sanche mein Dhaal ke

hasti ke haq ke samne kya asl-e-in-o-an

putle ye sab hain aap ke wahm-o-KHayal ke

talwar le ke uThta hai har talib-e-farogh

daur-e-falak mein hain ye ishaare hilal ke

pechida zindagi ke karo tum muqaddame

dikhla hi degi maut natija nikal ke

(1014) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Halqe Nahin Hain Zulf Ke Halqe Hain Jal Ke In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Halqe Nahin Hain Zulf Ke Halqe Hain Jal Ke is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Halqe Nahin Hain Zulf Ke Halqe Hain Jal Ke for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Halqe Nahin Hain Zulf Ke Halqe Hain Jal Ke in PDF.