Mehrbani Hai Ayaadat Ko Jo Aate Hain Magar

mehrbani hai ayaadat ko jo aate hain magar

kis tarah un se hamara haal dekha jaega

daftar-e-duniya ulaT jaega baatil yak-qalam

zarra zarra sab ka asli haal dekha jaega

official aamal-nama ki na hogi kuchh sanad

hashr mein to nama-e-amal dekha jaega

bach rahe taun se to ahl-e-ghaflat bol uThe

ab to mohlat hai phir agle sal dekha jaega

tah karo sahab nasb-nami wo waqt aaya hai ab

be-asar hogi sharafat mal dekha jaega

rakh qadam sabit na chhoD 'akbar' siraat-e-mustaqim

KHair chal jaane de un ki chaal dekha jaega

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mehrbani Hai Ayaadat Ko Jo Aate Hain Magar In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Mehrbani Hai Ayaadat Ko Jo Aate Hain Magar is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Mehrbani Hai Ayaadat Ko Jo Aate Hain Magar for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Mehrbani Hai Ayaadat Ko Jo Aate Hain Magar in PDF.