Dur Tak Bas Ek Dhundalka Gard-e-tanhai Ka Tha

dur tak bas ek dhundalka gard-e-tanhai ka tha

raston ko ranj meri aabla-pai ka tha

fasl-e-gul ruKHsat hui to wahshaten bhi miT gain

haT gaya saya jo ek aaseb-e-sahrai ka tha

toD hi Dala samundar ne tilism-e-KHud-sari

zom kya kya sahilon ko apni pahnai ka tha

aur mubham ho gaya paiham mulaqaton ke sath

wo jo ek mauhum sa rishta shanasai ka tha

KHak ban kar pattiyan mauj-e-hawa se ja milin

der se 'akbar' gulon par qarz purwai ka tha

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dur Tak Bas Ek Dhundalka Gard-e-tanhai Ka Tha In English By Famous Poet Akbar Hyderabadi. Dur Tak Bas Ek Dhundalka Gard-e-tanhai Ka Tha is written by Akbar Hyderabadi. Read famous Poem Dur Tak Bas Ek Dhundalka Gard-e-tanhai Ka Tha for youth and Student by Akbar Hyderabadi. Free Download Dur Tak Bas Ek Dhundalka Gard-e-tanhai Ka Tha in PDF.