Na Dhup Dhup Rahe Aur Na Saya Saya To

na dhup dhup rahe aur na saya saya to

junun-e-shauq agar phir wahin pe laya to

qadam baDha to lun aabaadiyon ki samt magar

mujhe wo DhunDhta tanhaiyon mein aaya to

suluk KHud se harifana kaun chahega

agarche tu ne mujhe zindagi nibhaya to

main jis ki oT mein mausam ki mar sahta hun

kahin khanDar bhi wo barish ne ab ke Dhaya to

magar gai na mahak mujh se mere mazi ki

nadi ki dhaar mein sau bar main nahaya to

sharif log the aadi the band kamron ke

laraz uThe kisi ne qahqaha lagaya to

hai rasm-o-rah ki surat abhi ghanimat hai

nadi ne dekh mujhe hath phir hilaya to

(674) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Dhup Dhup Rahe Aur Na Saya Saya To In English By Famous Poet Akhilesh Tiwari. Na Dhup Dhup Rahe Aur Na Saya Saya To is written by Akhilesh Tiwari. Read famous Poem Na Dhup Dhup Rahe Aur Na Saya Saya To for youth and Student by Akhilesh Tiwari. Free Download Na Dhup Dhup Rahe Aur Na Saya Saya To in PDF.