Nadi Ka Kya Hai Jidhar Chahe Us Dagar Jae

nadi ka kya hai jidhar chahe us Dagar jae

magar ye pyas mujhe chhoD de to mar jae

kabhi to dil yahi uksae KHamushi ke KHilaf

labon ka khulna hi is ko kabhi akhar jae

kabhi to chal paDe manzil hi raste ki tarah

kabhi ye rah bhi chal chal ke phir Thahar jae

koi to baat hai pichhle pahar mein raaton ke

ye band kamra ajab raushni se bhar jae

ye tera dhyan ki sahma parinda ho koi

zara si sans ki aahaT bhi ho to Dar jae

bahut sambhaal ke darpan ana hai ye 'akhilesh'

zara si chuk se aisa na ho bikhar jae

(634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nadi Ka Kya Hai Jidhar Chahe Us Dagar Jae In English By Famous Poet Akhilesh Tiwari. Nadi Ka Kya Hai Jidhar Chahe Us Dagar Jae is written by Akhilesh Tiwari. Read famous Poem Nadi Ka Kya Hai Jidhar Chahe Us Dagar Jae for youth and Student by Akhilesh Tiwari. Free Download Nadi Ka Kya Hai Jidhar Chahe Us Dagar Jae in PDF.